Mera rona mere jazbat ka aaina he
Ye khamoshi meri har bat ka ka aaina he
Kis tarah kardoun use khud se juda
Wo jo ek shakhs meri zaat ka aaina he
Aankh main phir koi darya na autar aae kahein
Meri aankhein kisi barsat ki aaina he
Be-basi meri teri tishna labi jesi he
Meri har bat teri bat ka aaina he
Jo bhi chaho meri sorat main dekh lo zaid
Mera chera mere halat ka aaina he
Ujala kangan bele ka !!!
Phele piyar se thami kalai
Bad us ke hole hole phenaya
Gehna pholoun ka _ _ _
Phir jhuk kar hath ko chom lia !
Murjha hi gae
Lekin meri ratain un ki khushbo se ab tak roshan hain
Banho par wo lams abhi tak taza he
Phool ka gehna _ _ _
Prem ka kangan _ _ _
Pyar ka bandhan _ _ _
Zaid ab tak meri yaad ke hath se lipte hoe hain