Bus intezar he
Wo mehakti hoi raat
Kab aaegi jab_ _ _
Mere sene pe tera sar hoga
Aur
Mere hath tere baloun main
Ye tere phool se hont jinhain
To sharam se danto main daba leti he
Ye sirf mere honge
Ye tere mur mure se hath
Ye Sharmati hoi nazar
Ye jhuk kar uthti hoi aankhain
Ye sub meri hongi
Bus intezar he
Wo mehakti hoi raat
Kab aaegi jab_ _ _
Wo mehakta hua shadab badan
Meri jageer hoga
Ek haseen khuwab ki tabeer hoga
Jo sulagti hoi ratoo ka andhera hoga
Jo mehakti hoi subha ka ujala hoga
Jo sub mera hoga
Bus intezar he
Wo mehakti hoi raat
Kab aaegi jab_ _ _
Zaid_ye sub mera mera hoga
Bus intezar he_ _ _
Ye khobaro log jin ki aankhain
Tumhare ujale badan par chaspa
Tumhare nakhsh-e-qadam ki khoushbo
Sabt aese
Bhanor main jese hina ke patte
Main sochta houn
Ke itni aankho ke dairo main
Meri akeli
Udas aankho ki
Hesiat kia he
Meri wafa ka mukam kia he
Zaid_meri mohabbat ka nam kia he