Tera phelo tere dil ki tarah abad rahe
Tujh pe guzri na qayamat shab-e-tanhai ki
Us ne jalti hoi peshani par jab hath rakha
Roh tak aagai taseer misahi ki
Ab barsat ki ratoun main badan totta he zaid
Jag authti hain ajab khuwahishain angrai ki
In bhegi bhegi aankho hum dhere dhere bolain ge
Sub bhole bhale razoun ko hum chupke chupke kholain ge
Phir tip tip aanso tapkain ge aur rim jhim barish barse gi
Is dil ki khani kehne ko har dharkan dharkan tarse gi
Phir gulshan gounje gi awaz meri faryaad mari
Kantoun main chupe ga gham tera,pholoun main mehakti yaad teri
Phir panchi bin bin jaain ge aur mere geet sunain ge
Jo bhool gaya he wada to,zaid phir tujh ko yaad dilain ge