Har kisi ke chere par
Ek ziya si hoti he
Rukh ke aik hisse main
Husun ke ilake main
Ek udasi hoti he
Us ko mene dekha tha
Garam khomahinoun main
Ek khushi ki mehfil main
Ek taraf khare tanha
Jis taraf ko raste the
Jin ke sath galyaan thein
Jin main log badte the
Be-kashish makanoun main
Jese chand ratain thein
Us ke sard chere par
Zaid _ _ _
Khushgawar aankhein thein
Ek pagal si larki
Pocha karti he ye mujh se
Kyun itni mohabbat karte ho tum
Us ko kese ye samjhao_ _ _
Aankhain jheel samandar houn tou
Doobna acha lagta he
Chera ho jab ghazal ki manind
Parhna acha lagta he
Mile rehna,bate karna
Hansna acha lagta he
Aese main to jena acha
Marna acha lagta he
Ek pagal si larki aksar
Pocha karti he ye mujh se
Kyun itni mohabbat karte ho tum
Zaid_us ko kese ye samjhao